جگ میں کوئی نہ ٹک ہنسا ہوگا
کہ نہ ہنستے میں رو دیا ہوگا
ان نے قصداً بھی میرے نالے کو
نہ سنا ہوگا گر سنا ہوگا
دیکھیے اب کے غم سے جی میرا
نہ بچے گا بچے گا کیا ہوگا
دل زمانے کے ہاتھ سے سالم
کوئی ہوگا جو رہ گیا ہوگا
حال مجھ غم زدہ کا جس تس نے
جب سنا ہوگا رو دیا ہوگا
دل کے پھر زخم تازہ ہوتے ہیں
کہیں غنچہ کوئی کھلا ہوگا
یک بہ یک نام لے اٹھا میرا
جی میں کیا اس کے آ گیا ہوگا
میرے نالوں پہ کوئی دنیا میں
بن کیے آہ کم رہا ہوگا
لیکن اس کو اثر خدا جانے
نہ ہوا ہوگا یا ہوا ہوگا
قتل سے میرے وہ جو باز رہا
کسی بد خواہ نے کہا ہوگا
دل بھی اے دردؔ قطرۂ خوں تھا
آنسوؤں میں کہیں گرا ہوگا
Read More Urdu Poetry
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Urdu Poetry
Collapse
X
-
Re: Urdu Poetry
Bahadur Shah Zafar:
nahin ishq mein is ka to ranj hamein ke qaraar-o-shakeb zara na raha
gham-e-ishq toh apna rafiiq raha koi aur iss balaa se raha na raha
na thi haal ki jab hamein apni khabar rahe dekhte auron ke aib-o-hunar
paDii apni buraaiyon par jo nazar toh nigaah mein koi buraa na rahaa
'Zafar' aadmi no us ko jaaniyega ho woh kaisa hi saahib-e-fahm-o-zaka
jise aish mein yaad-e-khudaa na rahi jise taish mein khauf-e-khuda na raha
Mufti Sadruddin 'Azurda':
naaloN se mere kab ta ho baalaa jahaaN nahiN
kab aasmaaN zameeN zameeN aasmaaN nahiN
kehta hoon mooh se kuch main nikalta hain mooh se kuch
kehne ko yu to hain ye zubaaN aur zubaaN nahin
'Azurda!' hont tak na hile us ke rubaruu
maanaa kii aap sa koi jaadu bayaan nahin
Akhtar Ansari:
yaad-e-maazi azaab hain yaa Rab!
chheen le mujh se haafizaa meraLast edited by TheGreenBird; 26-10-17, 12:05 AM.
Leave a comment:
-
Re: Urdu Poetry
My most favorite Urdu poem (by Allama Iqbal):
Kabhi Ae Haqiqat-e-Muntazir! Nazar Aa Libas-e-Majaz Mein
Ke Hazar Sajde Tarap Rahe Hain Meri Jabeen-e-Niaz Mein
Tu Bacha Bacha Ke Na Rakh Isse, Tera Aaeena Hai Woh Aaeena
Ke Shikast Ho To Aziz Tar Hai Nigah-e-Aaeena Saaz Mein
Na Woh Ishq Mein Raheen Garmiyaan, Na Woh Husn Mein Raheen Shaukiyan
Na Woh Ghaznavi Mein Tarap Rahi, Na Kham Hai Zulf-e-Ayaz Mein
Jo Mein Sar Basajda Huwa Kabhi To Zameen Se Ane Lagi Sada
Tera Dil To Hai Sanam Ashna, Tujhe Kya Mile Ga Namaz Mein
There are soooo many good Urdu poems... where do we begin and where do we end
Leave a comment:
-
Re: Urdu Poetry
Asar Kare Na Kare Sun Lo
Nahi Hai Dad Ka Talib Ye band azad...
Ye Horiyan Frangi Dil o Nazar Ka Hijab
Buhat Magrabya jalwa haye ya bar kbab..
Leave a comment:
-
Re: Urdu Poetry
Keh raha hai mauj e darya se sumandar ka sukoon
jitna jis ka zarf hai utna hi wo khamosh hai
Leave a comment:
-
Re: Urdu Poetry
Dil e Bismil ka uss dar par tamasha ham bhi dekhe gain
Leave a comment:
-
Re: Urdu Poetry
Ghalib (vs) Iqbal (vs) Faiz :
Ghalib :
" Sharaab peene de masjid me baithkar,
ya wo jagah bata jahan par khuda nahin?"
..
Iqbal :
" Masjid khuda ka ghar hai peene ki jagah nahin,
Kafir k dil me ja wahan par khuda nahin!"
...
Faiz :
" Kafir ke dil se aaya hun ye dekh kar,
khuda maujud hai wahan lekin use pata nahin!
Leave a comment:
-
Re: Urdu Poetry
Here's one of the Eid texts that i got...
Na zuban se,
Na nigahon se,
Na dimagh se,
Na rango se,
Na greeting se,
Na gift se,
Aapko Eid Mubarak ho direct DIL se :)))
Leave a comment:
-
Re: Urdu Poetry
Falak deta hai jin ko aish, unko ghum bhi hote hain,
Jahan bajte hain naqqare, wahan maatam bhi hote hain,
Whom are given pleasure from heaven, they suffer from sorrow as well,
Where the the melody of the drum is heard, there moaning occurs as well,
Leave a comment:
-
Re: Urdu Poetry
When Shaykh Abul Hasan Ali Nadwi (rh) was studying in Lucknow, his mother often sent him detailed letters for his guidance. Many of those letters are a manifestation of her motherly feelings and they bear the essence of her life long experiences as well.
In one such letter, she made an effort to versify her motherly feelings to implore Allah by writing the following poem :
Versified Supplications of the Mother of Shaykh Abul Hasan Ali Nadwi
Sada se tere mujh pe ina'am hai
Hai ina'am bhi aur ikraam hai
Jo maanga diya aur diya betalab
Phiri main Tere dar se mehroom kab
Thi jo kuch mujhe fikr sab door ki
Main laayi jo haajat wo manzoor ki
Tere fazl ki kuch nahin intihaa
Jo aaya tere dar pe woh khush huwa
Teri shaan Rehmat se hai yeh ba'eed
Phire dar se tere na koi naummeed
Karam kar mere haal par bhi Kareem
Ki hai naam Tera Gafoor wa Raheem
Meri sai wa koshish na barabaad kar
Tere dar pe aayi hoon imdaad kar
Duaa jald meri ye ho mustajaab
Ali ho Tere fazl se kaamyaab
Wo ho kamyaabi jo ho basanad
Ho aisi sanad jo ki ho mustanad
Na ho fikr koi na ranj wa ta'ab
Tamannaye bar aaye meri ye sab
Khataaon pe un ki na kar Tu nazar
Yeh bande hai Tere Tu hi reham kar
Jahaan main sada dono phoolein phalein
Sadaa yeh Shari'at pe qaaim rahein
Yeh sab behen bhaai rahein shaad kaam
Jahaan mein ho iqbaal un ka ghulaam
Khizaan main jo hai aaj fasl e bahaar
Yeh sab fazl Tera hai Parwardigaar
Ye fazl bahaari rahe taahiyat
Ho behtar ki behtar hayaat aur mamaat
Leave a comment:
-
Re: Urdu Poetry
Tum Aarzoo k diye Jala k
KHUDA se achi ummeed rakhna
Khizan k Mausam ki Rukhsati pe
Bahar~E~Gul ki naveed rakhna
Wo tera RAB hai
Wo tera Apna
USI ko Dil k qareeb rakhna
USI se karna tu Dil ki baaten
USI ko Apna Habib Rakhna
Utha k haathon ko Us k aagay
Tu Aankh mai kuch nami si Rakhna
Wo tera RAB hai
Wo tera AAQA
USI se Raaz~O~Niaz Karna
USI se Gham ki Kahani Kehna
USI se apni Zubani kehna
RAHIM hai WO
KARIM hai WO
Jahan mai sab se AZEEM hai WO
Tu RAB ko apne Aziz Rakhna
USI ko apna Habib Rakhna
Leave a comment:
Collapse
Edit this module to specify a template to display.
Leave a comment: