Re: Urdu Poetry
Yadon key diary mein aik safha tum bhi ho
Gard jis per parr gai wo lamha tum bhi ho
Zehen k teh khanon mein naam tumhara aaj bhi hai
Bhooli bisri yadon mein kalam tumhara aaj bhi hai
Kuchh din rahay tum paas meray bay jaan ehsaas meray
Tum nay khilaye phool jo hain bohot he khaas meray
Aik pak hawa ka jhonka theen aik qatra e nayab theen
Jo meri aankh mein zinda hain un lafzon key kitab theen
Jo waday hum nay tum say kiye wo waday hum to bhool gaye
Kuchh bhi hamein na yaad raha wo iraday hum to bhool gaye
Man mitti neechay so gaeen tum us mitti ko salam hai
Wo narm gudaaz bistar jo pak roohon ka maqam hai
Aik din milengay tum say hum wo din hamara achha ho
Aik hazar khwabon mein ye khwab apna sacha ho

Comment