uzairkhan
13-08-08, 08:04 PM
kahoon Main kia Haalat banaye hain phirtey,
Yeh Tehzeeb-e-Maghrib Kay Dildada Larkay,
na soorat say Saabit na seerat Say Saabit,
K hain yeh Kisi Ik Musalama'an K Larkay,
Zara baal Daikho, Zara Chaal Daikho,
tum Inka Bigarta Hua Haal Daikho,
K Baalo'n Main Jaisay Phata Koi Bum(BOMB) hai,
ya aaye kissi say hain larr ker yeh larkay,
Nabi(S.W.T) ka sa Chehra Nahin kyun banatay,
Kyun Darhi ko har roz tum ho mundatay,
Jo rakhay Qalander, jo na Rakhay Bander,
jo in ko pasand ho woh ban jayen larkay,
Ghisat ti hai paint in ki chappal kay neechay,
magar kehtay hain kay hai fashion main shaamil,
hai takhnay chupana nishan-e-takabbur,
takabbur say kaisay yeh chaltay hain larkay,
Nigahain Ghumana tou in ki nazar main,
gunah hi nahin hai koi is dehar(earth) main,
Mohabbat(Majazi) ko keh kar k hai yeh Ibbadat,
hain kartay subh-o-shaaam ibaadat yeh larkay,
Yeh Gana Bajana, yeh Halla Machana,
Dilo'n main nifaaq ki khaiti ugana,
yeh kaano'n pay qahr-e-Khuda hai girana,
samajhtay nahin yeh magar, aah, larkay,
Chipak ja, chimat ja, tou Dil Say lipat ja,
Kissi Allah Walay Kay Qadmo'n main Mit ja,
K daikha hai Main nay yeh Majlis main in ki,
Khuda per fida hain hazaaro'n hi Larkay,