PDA

View Full Version : The Junaid Jamshed Thread!


Sulaiman Harun
02-09-07, 10:51 PM
:start:

:salams

:alhumdull

:insha: I'll post lyrics of Junaid bhai's nasheeds of the first album and with it an audio version of it.

Multazim Par Dua

Zahir Ki Aankh Say Na Tamasha Karay Koi
Ho Dekhna Toh Deeda-e-Dil Waa Karay Koi
Arr Baithay Kya Samajh Kay Bhala Tuur Par Kaleem
Taaqat Ho Deed Ki Toh Taqaza Karay Koi

Ilaahi Teri Chaukhat Par Bhikaari Ban Kay Aya Hoon
Saraapa Faqr Hoon, Ijz-o-Nadaamat Saath Laya Hoon

Ilaahi Teri Chaukhat Par Bhikaari Ban Kay Aya Hoon
Saraapa Faqr Hoon, Ijz-o-Nadaamat Saath Laya Hoon

Bhikaari Wo Kay Jis Kay Paas Jholi Hai Na Piyaala Hai
Bhikaari Wo Jisay Hirs-o-Hawas Nay Maar Dala Hai

Mata-e-Deen-o-Daanish Nafs Kay Haathon Say Lutwa Kar
Sukoon-e-Qalb Ki Daulat Hawas Ki Bhaint Chharwa Kar

Luta Kar Saari Poonji Ghaflat-o-Isyaan Ki Daldal Main
Sahara Lenay Aya Hoon Teray Ka'abay Kay Aanchal Main

Gunaaahon Ki Lipat Say Ka'ainat-e-Qalb Afsurda
Iraaday Muzmehal, Himmat Shikasta, Hauslay Murda

Kahan Say Laoon Taaqat Dil Ki Sachhi Tarjumani Ki
Kay Is Jhanjaal Main Guzri Hain Ghariyan Zindagi Ki

Khulasa Yeh Kay Bas Jal Bhun Kay Apni Ru-Siyaahi Say
Saraapa Faqr Ban Kar Apni Haalat Ki Tabaahi Say

Teray Darbaar Main Laya Hoon Apni Ab Zabun Hali
Teri Chaukhat Kay Laaiq Har Amal Say Haath Hain Khaali

Yeh Tera Ghar Hai Teray Mehr Ka Darbaar Hai Maula
Saraapa Noor Hai Aik Mohbat-e-Anwaar Hai Maula

Teri Chaukhat Kay Jo Aadab Hain Main Un Say Khaali Hoon
Nahin Jis Ko Saliqa Maangnay Ka Wo Sawali Hoon

Zuban Gharq-e-Nadaamat Dil Ki Naaqas Tarjumani Par
Khudaya Rehem Meri Is Zamanay Bay Zubani Par

Yeh Aankhain Khushk Hain Yaa Rab Inhain Rona Nahin Aata
Sulagtay Daagh Hain Dil Main Jinhain Dhona Nahin Aata Hai

Ilaahi Teri Chaukhat Par Bhikaari Ban Kay Aya Hoon
Saraapa Faqr Hoon, Ijz-o-Nadaamat Saath Laya Hoon
Saraapa Faqr Hoon, Ijz-o-Nadaamat Saath Laya Hoon


Audio of Multazim Par Dua (http://www.esnips.com/nsdoc/b1c9de10-038e-4395-ada0-6a3cbade28f6/?action=forceDL)

Sulaiman Harun
02-09-07, 10:56 PM
Muhammad (PBUH) Ka Roza

Waiz kamal-e-tark se milti hai yaan murad
Dunya go chaurh di hai to uqbah bi chaurh dey
Taqleed ki ravish se to behtar hai khudkushi
Rasata bhi dhoond Khizr ka sauda bhi charh dey

Muhammad ka roza qareeb araha hai
bulandi pe apna naseeb araha hai
Muhammad ka roza qareeb araha hai
bulandi pe apna naseeb araha hai
farishton yeh de do peghaam un ko ke kdaadim tumhara Saeed araha hai
Khabar ja kay de do unko farishton ke khadim tumhara Saeed araha hai
ke khadim tumhara Saeed araha hai


Madinah Madinah Madinah Madinah barha lutf deta hai nam-e-Madinah
Madinah Madinah Madinah Madinah barha lutf deta hai nam-e-Madinah
(in background)

Wafa tum na dekho ge hargiz kisi mein
zamana woh aisa qareeb araha hai
hifazat karo apney imaan o deen ki
zamana woh aisa ajeeb araha hai

Muhammad ka roza qareeb araha hai
bulandi pe apna naseeb araha hai
Muhammad ka roza qareeb araha hai
bulandi pe apna naseeb araha hai
farishton yeh de do peghaam un ko ke kdaadim tumhara Saeed araha hai

Madinah Madinah Madinah Madinah barha lutf deta hai nam-e-Madinah
Madinah Madinah Madinah Madinah barha lutf deta hai nam-e-Madinah
(in background)

Tumhein kuch khabar hai kahan ja raha hoon
rasool-e-khuda hain, wahaan ja raha hoon
tumhein kuch khabar hai ke kia pa raha hoon
mohabbat ke unki maza pa raha hoon
chalo ja ke rehna madeenay hi ab to
qayamat ka manzar qareeb araha hai

Farishton yeh de do peghaam un ko ke kdaadim tumhara Saeed araha hai
Khabar ja kay de do unko farishton ke khadim tumhara Saeed araha hai
ke khadim tumhara Saeed araha hai

Madinah Madinah Madinah Madinah barha lutf deta hai nam-e-Madinah
Madinah Madinah Madinah Madinah barha lutf deta hai nam-e-Madinah
(in background)


Madinah Madinah Madinah Madinah barha lutf deta hai nam-e-Madinah
Madinah Madinah Madinah Madinah barha lutf deta hai nam-e-Madinah
(in background)

Nigahaun mein sultaniat heech ho gi
Jo payaye ga dil mein payam-e-Madinah
Suqoon-e-jahaan tum kaha dhund the ho
Suqoon-e-jahan hai nizaam-e-Madinah

Madinah Madinah Madinah Madinah barha lutf deta hai nam-e-Madinah
Madinah Madinah Madinah Madinah barha lutf deta hai nam-e-Madinah
(in background)

Muhammad ka roza qareeb araha hai
bulandi pe apna naseeb araha hai
Muhammad ka roza qareeb araha hai
bulandi pe apna naseeb araha hai
farishton yeh de do peghaam un ko ke kdaadim tumhara Saeed araha hai
Khabar ja kay de do unko farishton ke khadim tumhara Saeed araha hai
ke khadim tumhara Saeed araha hai

Madinah Madinah Madinah Madinah barha lutf deta hai nam-e-Madinah
Madinah Madinah Madinah Madinah barha lutf deta hai nam-e-Madinah
(in background)


Audio of Muhammad (PBUH) Ka Roza (http://www.esnips.com/nsdoc/18bba94c-5b2e-48c5-baac-52d94cec066c/?action=forceDL)

Sulaiman Harun
03-09-07, 02:13 AM
Tune Poochi Hai Imamat

AQWAAM JAHAN MAI HAI RAQABAT TOU ISI SAI
TASKHEER-E- MAQSOODAI TIJAARAT TOU ISI SAI
KHALI HAI SADAQAT SAI SIYASAT TOU ISI SAI
KAMZOOR KA GHAR HOTA HAI GAARAT TOU ISI SAI
AQWAAM MAI MAKHLOOQE KHUDA BADTI HAI IS SAI
QOUMIYAT ISLAM KI JARH KAT'TI HAI IS SAI

Tounay puche hai imaamat ki haqiqat mujh sai
Haq tujhay meri tarha sahib-e-asraar karai
Tounay puche hai imaamat ki haqiqat mujh sai
Haq tujhay meri tarha sahib-e-asraar karai

Hai wohi taray zamanay ka imam-e-barhaq
jo tujhay hazir o moujood sai baizaar karay
jo tujhay hazir o moujood sai baizaar karay
Maut kai ainai mai tujh ko dikha kar rukhdost
Maut kai ainai mai tujh ko dikha kar rukhdost
Zindagi teray liyay aur bhi dushwaar karai,
daikai ehsaas-e-zya tera lahou garma dai
daikai ehsaas-e-zya tera lahou garma dai
Faqr ki saan charha kar tujhay talwaar karai
Faqr ki saan charha kar tujhay talwaar karai

Fitna-e-milatai baizaa hai imamat uski
Jou musalma ko salaati ka parastar kari
Fitna-e-milatai baizaa hai imamat uski....
Jou musalma ko salaati ka parastar kari...
Jou musalma ko salaati ka parastaar karaiii

Tounay puche hai imaamat ki haqiqat mujh sai
Haq tujhay meri tarha sahib-e-asraar karai

Hai wohi taray zamanay ka imam-e-barhaq
jo tujhay hazir o moujood sai baizaar karay
Zindagi teray liyay aur bhi dushwaar karai
Faqr ki saan charha kar tujhay talwaar karai
tujhay talwaar karai.

Audio of Tune Poochi Hai Imamat (http://www.esnips.com/nsdoc/44cc64ae-7c85-4a78-b164-1e5a8e316409/?action=forceDL)